Sunday, March 11, 2007

jin ke chehre hoon chand ki soorat

Flower1d1Flower1d4 Flower1d6Flower1d2

Flower1a2Flower1a2

Flower1c2Flower1c2Flower1c2

jin ke chehre hoon chand ki soorat
Jin ke chehre hoon chand ki soorat
un ke dil mein bhi daag hote hain

tumhari bazam mein dhundli si roshni ki hai
dilon ke daag,chiragon ke ro-baro to nahin

zeest se tang huwa hai daag to kuin jeete ho
jaan pyari bhi nahi jaan se jaate bhi nahi

nigah parhti hai jis waqt dil ke daagon per
to aik dost ke ehsan yaad aate hain

masham jaan muattar hai tere tassawur se
mein apne dil ke har ik daag ko gulab karoon

app ke sar ki qasam daag ko parwah bhi nahi
app se milne ka hoga jise armaan hoga

bheegi jo raat jal uthe hasrat kade ke daag
hum wadi bahar chiragon mein aa gaye

woh teri yaad ka ik zakham bhar gaya laiken
kabhi jo mit na sake woh daag chor gaya

" Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna "

Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Aur maazi ki bhi parchhain nahin padne daita

Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai
Lekin khud ko, kabhi had se, nahin bardhne daita

Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi
Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita

Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai
Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita

Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai
Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita

Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha
Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita

Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita


Uss shaam wo rukhsatka samaa yaad rahega
wo sheher wo kocha,wo makaan yaad rahega
Wo teaskay ubhri thi udher yaad rahegi
Wo dard kay uttha tha yahan yaad rahega
Hum shoq kay sholay ki lapak bhool bhe jayienge
Wo sham-e- fasurda ka dhuwan yaad rahega
Haan bazm-e-shabana mien hamien shoq jo uss din
Hum tu teri janib nigran yaad rahega
kuch Meer kay Abiaat, Kuch Faiz kay misray
ek dard ka tha , jin mien bayaan yaad rahega
jaan baksh si iss barg-e-gul tar ki tarawat
wo Lams aziz do jahan yaad rahega
hum hool salay hien na tujhay bhool sakienge
tu yaad rahega , hamien haan yaad rahega
Samay Jesay
samay jesay guzarta ja raha ha
koi Dil say uterta ja raha ha
musafir dil teri khamoshioun mien
bohat tanha ha darta ja raha ha
wo kajal hay k ansu ya koi ghum
meri ankhoun mien bharta ja raha ha
bichay hien zakham meray phool bun ker
zamana paoun dharta ja raha ha
buna tha re-teli mitti say jevan
bikharta he bikharta ja raha ha

~~~~~~~~~~~~~~~~Raat Bher Deda-e-Ashq Ankhouun mien Dagmagatea Rahe
Ek Khuwab Ki Terhan Aap Aatea Rahe Jatea Rahea ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii
Bechara kahan janta ha khaliish ha ye kia khlaa ha sheher bher ki khushi say ye dard mera bhala ha
jashan ye raaz na aye maza tu bass ghum mien aaya ha
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii
kabhi ha ishq ka ujala kabhi ha moot ka andhera bataoo kon bhed hoga mien jogi bano ya lotera
kai chehray hien iss dil kay na janay konsa mera
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii
hazarouuuuuun aisay faslay thea jo tay kernay chalay thea
rahien mager chal parri thi or pechay hum reh gaye thea
kadam do char chal pAaye kiea pheray teray mann kay..........
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii
Mienay dil sa kaha dhond lana khushi na samjh laya ghum tu ye ghum he sahii

RAsTa kAtHaN

Raste Kathan Dhoop Mein Shidat Bhi Bohut Thi

Saye Se Magar Iss Ko Mohabbat Bhi Bohut Thi

Khameye Na Koye Mera Musafir K Jalaye

Zakhmi They Bohut Pao Musafir Bhi Bohut Thi

Sub Dost Meray Muntazir - e - Purda Shub They

Din Mein Toh Safar Kurne Mein Waqt Bhi Bohut Thi

Barish Ki Duawaon Mein Nami Ankh Ki Mil Jaye

Jazbe Ki Kabhi Itni Rafaqat Bhi Bohut Thi

Kuch Toh Tere Mausum Hi Muje Raas Kum Aye

Aur Kuch Meri Mitti Mein Bagawat Bhi Bohut Thi

Phoolon Ka Bikharna To Muqadar Hi Tha' Lekin

Kuch Iss Mein Hawaon Ki Siyasut Bhi Bohut Thi

Khush Aye Tuje Sheher Munafiq Ki Amri

Hum Logon Ko Such Kehne Ki Adat Bhi Bohut Thi

Iss Turk-e-Rafaqat Pe Pareshan Toh Hun ' Lekin

Abh Tuk Ke Tere Saath Pe Hairut Bhi Bohut Thi

Durya Ki Taraf Pasht Kiyen Kaun Khara Tha

Jis Waqt Keh Suraj Mein Tamazat Bhi Bohut Thi

Tumhain Abb Bhool He Jain To Acha Hai
Tumhain Abb Bhool He Jain To Acha Hai
Yeh Faslay Our B Barh Jain To Acha Hai

Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Too Abb Ghair He Bun Jain To Acha Hai
Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Mein
Too Is Aag Main Na Jalay To Acha Hai

Barsoon Say Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera To Acha Hai

Rehta Tha Teri Muhabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab To Apni Perchai B Na Ho To Acha Hai

Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K ya saath ab chor hi Jaiy To Acha Hai



BarSooN BaaD

YaDoon Ka Ek Jhoonka Aaya Hum Say Milne Barsoon BaaD
Pehlay Itna Royay Nahin Thay Jitna Royay Barsoon BaaD


Lamha Lamha Ghar Ujra Hai Mushkil Say Ehsaas Howa
Pather Aaye Barsoon Pehle Sheeshay Tootay Barsoon BaaD


Aaj Humari Khaak Pay Dunya Ronay Dhonay Bethi Hai
Phool Howe Hain Kitnay Sastay Janay Kitnay Barsoon BaaD


Bhool Bhi Jao Kis Ne Toora Kaise Toora Aur Kyon Toora
Dhondh Rahay Ho Galiyon Main Kya Dil K Tukray Barsoon BaaD


Dastak Ki Umeed Laga Ker Kab Tak Yoon Hi Jeetay Hum
Kal Ka Wada Kernay Walay Milnay Aayay Barsoon BaaD






Us KeY HaThOo

Us Key Hathoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi

Ek Dewaar Magar Beach May Hayail Hoogi

Us Key Jalwoon Key Bhot Pass May Hoonga Leykin!

Wo Kisi Aur Ki Taqdeer Ka Hasil Hoogi

Surkh Kaproon Pey Sajey Taar Na Hoon Gay Merey!

Us Key Annkhoon May Merey Piyar Ki Jhilmil Hoogi

Jatey Jatey Wo Mujhey Piyar Say Dekhey Gi Jab..?

Rootey Rootey Wo Meri Rooh May Shamil Hoogi

Mujh Say Wo Dour Bhot Dour Chali Jaye Gi....!

Yea Kahani Bhi Sir-e-Bazm Mukammal Hoo Gi.........




Yeh
Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!

Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!

Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!

Yeh kaii uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega!!"








Flower1c2Flower1c2Flower1c2

Flower1d1Flower1d4 Flower1a2 Flower1d6Flower1d2

No comments: