Sunday, March 11, 2007

Ashaar mere Yun to zamanay kay liyeh hain,

Ashaar mere Yun to zamanay kay liyeh hain,
kuch sher fakat un ko sunany ke liye hain,
ab yeh bhi nahi theek ke her dard mita de,
kuch dard kalejay say laganay ke liye hain,
aankhon main jo bhar lo gay to kantton se chubhan gay,
yeh khuwaab to palkon pe sajanay ke liye hain,
dekhoon tere haaton ko to lagta hai tere haath,
mandir main fakat deep jalanay ke liyeh hain,
socho to baadi cheez hai thazeeb badan ki,
warna to badan agg bhojanay ke liye hain,
Ashaar mere yun to zamanay kay liyeh hain,
kuch shair fakat un ko sunany ke liye hain,

~*~ Tum Kia Jano ~*~

Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano
Aag main kitne phool khile tum kya jano

Hijr ki kaali raat main kaise kaise log
khaak main milke khak hue tum kya jano

Humne ik tumhare naam ki khushboo se
Kitne dasht bahar kiyeh tum kya jano

Apni kitab-e-umr ki sari sattron main
Humne kiske khuwab likhe tum kya jano

Tum bichre tou humne apni palkon per
Kitne darya rok liyeh tum kya jano

Sur ki chaooon main lafz ki kaliyan khilne tak
Hum tou sab kucch bhool gaye tum kya jano




Suno
Mujhe accha nahi lagta

Kare jab tazkara koi

Kare jab tabsara koi

Tumhari zaat ko khoje

Tumhari baat ko soche

Mujhe accha nahi lagta

Tumhari Muskurahat per

Hazaron log marte hon

Tumhari ek aahat per

Hazaron Dil dhararkte hon

Kisi ka tum pe yun marna

Mujhe accha nahi lagta


Wo Bojha Bojha sa Chiragh

Wo bojha bojha sa chiragh tha,ya kabhe kise ko khaber na ho
usay lay gaye kahan hawa,ya kabhe kise ko khaber na ho


wo tamaam dunya k wastay,jo mohobaton ke misaal tha
wo apnay he gher main tha baywafa,ya kabhe kisee ko khaber na ho


kaheen mesjidon main shahadatain,kaheen menderon main adalatain
yahan kon kerta hay fesla,ya kabhe kise ko khaber na ho


mujhay jaan ker koi ajnabee,wo dikha rahay hain galee galee
is shaher main mara gher tha, ya kabhe kise ko khaber na ho


wo samujh k dhoop ka dawta,mujhay aaj poojnay ko ayain hain
main chiragh tha taree shaam ka,ya kabhe kise ko khaber na ho


maray paas jitne hay roshne,hay yahe chiragh ke zindagee
main kahaan jala,main kahan bojha,ya kabhe kisee ko khaber na ho



Wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi "
Ya rab humain tuj say koi gilla bhi nahi,
Wo naseeb main nahi tha is leya mila nahi..
Seencha tha jiss chaman ko apnay dill kay lahoo say,
Phir kyu barsaat main koi phool khila nahi..
Na lagaay koi chot is dill_e_ natawan per,
Abhi tu phichla zakham bhi muj say siila nahi..
Mangaa tha jhooliian utha utha kar usay,
Mager humain duwaoon ka koi siila mila nahi..




No comments: